Asslam alikum kaisay hain mere sab kite flyers bhai aaj mai aap k sath kuch kite making ka knowldge share krun ga couz yeah new generation makers k bhut kam aye ga mai aap ko patang ki tilyun k size btaou ga jis say aap ko patang bnanaye mai ziada asani hou gi ..(Sarh, 4nd half: peta 40, gaz 31 or pendi 35 nukka size 8 inch pendi k nechay ka jahan pendi bandatay hain or nukka same size hota hai )(5githi : peta 43 gaz 35 pendi sarahy 38 nukka size sarah 8)(5nd half : peta 48 gaz 38 pendi 43 nukka size sarhay 9)(6githi :peta 53 gaz 41 pendi 48 nukka size sarhay 10)(6nd hald: peta 57 gaz 45 pendi 53 nukka size 11)(7githi :peta 62 gaz sarahay 49 pendi sarhay 56 nukka size sarhay 11)=(8githi : peta 71 gaz 57 pendi 65 nukka size sarhay 14)sarh or 5 ki pendi ziada paki nhi lagani chiyeh couz yea sizes ziada tar 16 ki hawa mai urtay hain so agar peta 20 hai tou pendi sarhay 17 ya 18 honi chiyeh light weight pendi say patang ki dor ziada banti hai sarhay 5 ki pendi thori paki honi chiyeh couz yeah size normally routien mai uraya jata hai 6, sarhay 6, 7, or 8 , yeah barey size hain in ki pendi ziada tar paki chlti hain hain us ki waja yea hai yea sizes k paich out of range mostly ja k hotay hain isi waja say paki pendi yaha karamad hai aksar patang dou ghari hou jati hai jou mera knowldge hai jou mai nay apni life mai dekha hai us ki waja gaz ko mazboti say na bandnay hai couz jb aap us ko hawa mai uratay hou gaz apni jaga say phirta jata hai or slip hou k jis side per us ko ziada zor lgta hai woh udhr chala jata hai so gaz ko paka kr k bandou us ko mazeed mazboot kernay k liye jab aap gaz band rhay hou dhagay per levi laga lao phir aap jaha bandou gai woh apni jaga say nhi hilay ga aap nay bhut si patangou ko dekha hou ga jis k kub andar ko ya bahir ko niklay hotay hain us ki waja yea hai k gaz ko bhut ziada khainch k banda hota hai agar itfaq hou tou barey ustadou ki patang ka jaiza lijeyh mai nay usatdou ki patangou say bhut kuch sekha hai ,(Ustad Babbie, mere ustad muhtram) Ustad MM Khaliq Ustad Fiaz Ustad Piddi Ustad Ustad Nana Sain etc.. in ki patang ko agar dekho tou still stright nazar aien gi jb bhi dekho us ki waja k yea gaza mai waya rakhtay thay jis waja say patang 10 ya 20 sal bad bhi dekho patang sedhi nazar atti hai achi patang mai aap k bans ka bhut kirdar hai aap jitna achi sekka lagao gai us say bans ka pani dry hou ga jis say aap telli chielnay mai bhi asani hou gi kosish kiya kro double seka lagaya kro aik tou start mai lgta hai dosra petey ki tilyu ko chielnay k bad bhi lagaya kro us say aap ki patang ki age or zaiada hou jati hai or hawa mai ziada mar nhi kahati gaz ko nukkay k pas say thora motta or pendi say normal bareeq hona chiyeh agar nukka say bhut bareeq hou ga us say patang bar bar hilti rhey giisarh 5 saday 5 tk ki patang ki tail 5yasarhay 5inch hona chiyeh or normal weight hona chiyeh 6 sarhay 6 , 7 tk ki patang ki tail ka size 8ya9 inch perfect hain Mere bhayou jou knowldge mai nay 2004 say ab tk hasil kiya mai nay aap say share kr diya , lahore mai agar 1000 maker hai tou sab ka different way hai patang bnanaye ka or different sizes hain yea woh sizes hain jou mere ustad ji bnanatey thay or un say mujhye miley hain patang maker ko succeessful bnanaye mai aik achay patang baz ki support hoti hai wohi hai jou aap ko zameen say asman tk lai jata hai or aap ka nam bna deta hai isi liye hamesha achay patang bazou say keep in touch rho or kbhi bhi bura mat mano agar woh tumhari patang mai fault nikalay ies kam mai bhi koi bhi perfect nhi yea samndar hai jitnay deep jao gai utna ziada knowldge hasil kro gai agar kisi k pass koi or knowldge hai plz share kro us say mere ilam mai bhi izafa hou ga or dosrou k bhi mayb mai nay yha kuch wrong likha hou (shukriya)